Hum Dusroo se kya gila kare humare khud ke Mazhab me aise aise log bethe haii joo ki dusre mazhab mo follow karte hai wo unko follow kar ke aisi aisi baate bol jaate hai unko pta bhi nahi hai ke wo baate kufr haii
Aise aise kufria words nikalte hai apne muh se aisa lagta hai ke wo Islam me nahi hai wo kisi aur mazhab se haii
Aur kuch kuch to log aise hai ke wo kafiron ke peshwaoo ko mante hai wo aisa bolte hai ki hum to sabhi ko mante hai wo unke saath rah rah kar aisa Sikh jate hai ke humare liye sab log ek jeise haii
Lekin unhe ye nahi pta ke Allah ta'ala sirf aur sirf ek hai allah ta'ala ne hi is puri duniya ko banaya hai Allah ke siva koi mabood nahi haii
Agar musalman 100% Islam ko follow karta koi bhi usse apni baato me nahi behka sakta agar wo follow karta to wo khabi bhi aisi baat nahi bolta ke hum sabhi ko mante hai hum to sabhi ki ibadat karte hai
Islam me aise aise log bethe hai ke wo kafiron ke saath Jaa kar unke peshwaoo ke aage haath jodte hai unhe ibadat ke layak samjhte hai Allahu akbar lekin unhe ye nahi pta ke ibadat ke layak sirf aur sirf allah ta'ala hi hai dusra koi bhi nahi hai ibadat ke layaq
Islam me aise logo ke hone par hi baki kafir log humara haq cheen rahe hai ke ye to Islam me hai hi nahi ye chiz compulsory nahi hai agar Islam ke log aise nahi hote unki side nahi hotee to wo log khabi bhi humse humara haq nhi cheen sakte
Allah Qur'an paak me Surah kafiroon aayat number 6 me irshad farmata hai ki ‘tumhe tumahra deen or mujhe mera deen’
Yaani ki kafir nahi poojenge use jise hum pujte hai or hum nahi poojenge use jise wo poojte hain to Allah irshad farma Raha hai ki keh do unse tumhe tumahra deen or hume hamara deen
Allah ta'ala aise logo ko hidayat de aur unhe Islam ko samjhne ki taufeeq atta kare .. Aameen
Az-Qalam : Naghma Bano
NOTE : POST ME LIKHI GAYIN BAATEN WRITER KI ZAATI TAHREER HAI NA KE ILM-UL-HUDA KI